Download Site App

Computer(PC) Me WhatsApp Kaise Chalaye (Naya Tarika)

By:        ViPiN KUMAR 'BAADSHAH'       Comments


Friends WhatsApp aajkal har koi use karta hai. aur sayad aap bhi jarur use karte honge. Lekin aksar aisa hota hai ki hum WhatsApp ko apne PC, Laptop pe use karna chahte hai lekin iske liye apko Bluestack App Player ki jarurat hoti hai. Maine dekha hai ki bahut se logo ko ye samsya aati hai ki ve Bluestack App Player ko ve apne PC ya Laptop me Install hi nahi kar pate, jis karan ve PC me WhatsApp bhi use nahi kar pate hai.

Lekin aaj me apko aisa tarika bataunga jis se aap bina Bluestack App Player Software ke bhi PC me WhatsApp use kar payenge bahut hi easly tarike se. Maje ki baat ye hai ki ab koi bhi niche diye Steps ko Follow kar ke PC me WhatsApp Use kar sakta hai.

Computer(PC) Me WhatsApp Kaise ChalayePC Me WhatsApp Kaise Chalaye :

Step 1. Sabse pahle apne Browser me web.whatsapp.com ko kholiye. Fir apko ek Barcode dikhai dega.
Computer(PC) Me WhatsApp Kaise Chalaye

Step 2. Apne Smart Phone me WhatsApp ko Open kariye aur Upar Right Side me click kar ke Option me WhatsApp Web par jaiye. Ab apko apke PC me dikh rahe Barcode ko WhatsApp Web Option me aa rhe Scaner se Scan karna hai.

Computer(PC) Me WhatsApp Kaise Chalaye
Jaise hi Barcode Scan hoga, vaise hi apka PC  apke Mobile WhatsApp se Connect ho jayega aur aap apne Mobile WhatsApp ka maza  PC me bhi le sakange….Enjoy!

Computer(PC) Me WhatsApp Kaise Chalaye

WhatsApp Web Ke Bare Me Ye Bhi Jane :

  • Aap PC me WhatsApp ka maza tabhi le payenge jab apke phone me bi Data On ho. Kyonki Data apke Mobile Net Balance se hi katega.
  • Jis hisab se apke phone me net ki speed hogi usi speed se aap PC me bhi WhatsApp use kar payenge.
  • Chat Massages, Images and Videos apke Phone me hi Save honge.
  • Apke Mobile WhatsApp ke sare Option aur Contacts PC me bhi Show karegi.
  • Agar apke Phone me Net ki Speed kam hai to PC se Connect hone me thoda time lag sakta hai, so thoda wait kare ye automatic apke phone ko detect kar lega aur connect ho jayega.
  • Bar-Bar Barcode Scan kar ke Connect karne ki jarurat nahi hoti hai bas apke phone me Data On ho to aap direct web.whtasapp.com par jakar  WhatsApp use kar sakte hai.
Friends I hope ki meri ye janakri apke liye kafi helpful hogi aur apko jarur pasand aai hogi. Aap is Post ko Share karna na bhule….Thank You !
Computer(PC) Me WhatsApp Kaise Chalaye (Naya Tarika) Computer(PC) Me WhatsApp Kaise Chalaye (Naya Tarika) Reviewed by Unknown on 00:23 Rating: 5
Powered by Blogger.