Download Site App

PayTM Account Kaise Banaye

By:        ViPiN KUMAR 'BAADSHAH'       Comments
Articale Post Date : 19/03/2018              Last Update : 19/03/2018 


Hello Dear Friend’s

Mai Vipin Kumar ‘BAADSHAH’ AAP KA TARGET . COM  Par Aapaka swagat karta hu. Friend’s Aaj mai es Articles me mai aap ko PayTM Account Kaise Banaye. Ke baare me bataunga. Yaha  Friend's aap janege ki PayTM Account kaise banate hai. eska full process..



Dosto agar aap paytm ke bare me nahi jante, to aapko is post me paytm ki puri jankari mil jayegi. yaha bataye gaye steps ko follow karke apne computer ya android phone se is par account bana kar online mobile par use kar sakte hai.



Paytm Kya Hai ???

Paytm india ki bahut Popular e-wallet Online Recharge Company hain. Isko use karne ke benefits bahut hai iski help se aap apna Electricity Bill, DTH Recharge, Online Shopping Payment aur Mobile Recharge through Paytm se kar sakte hai. Kuch aise kaam jinke liye market me jane ki jaruart padti hai, wo sab kaam mobile se ghar baithe hi ho jayega. Iske alawa aap apne wallet ke paise ko direct bank account me bhi daal sakte hai ya apne kisi friend ke wallet me transfer kar sakte hai.


Isko use karne ke liye bas apko Paytm ID banana hoga. Aapke pass computer ho ya aap mobile user ho isse dono me istemaal kiya jata hai. ye puri tarah se trusted service hai. Is par online trasection karna bahut easy hai.

Paytm Par Account Banane Ke Liye Kiya Kiya Chahiye ???

Account banane ke liye sabse pahle apna mobile number registration karna hota hai. Android user sabse phele Paytm App Download karke Account banate hai. aur laptop computer user direct site par jakar easily apna account create kar sakte hai. Iske liye kuch jaruri chize apke pass hona chahiye.
  • ATM Card
  • Credit Card
  • Net Banking
Inme se koi bhi ek hoga to chalega aur ha! “Paytm use karne ke liye apke bank account me Balance hona jaruri hai, tabhi aap apne paytm wallet me money add kar ke online shoping ya recharge kar payenge”. Yah service cashback code aur coupons ke liye Popular hai. Promo Code aur Coupons Mobile me sasta Recharge Cashback me use hota hai.

Paytm Account Kaise Banaye ???

Paytm account banane ka tarika step by step follow kare aur ID create kare. Yah bahut easy hai agar apko samjhne me kuchh dikkat aaye ya koi sawal ho jiska jawab aap puchna chahte hai, to bina kisi jhijhak ke niche comment kare. Ek bat hamesa yad rakhe ki apne account ka password kabhi kisi se share na kare warna apka nuksan ho sakta hai.

Steps

1. Sabse pahle paytm.com site par jaye aur Log In/Sign Up ke option pe click kare.








2. Ab ek Popup Window khulega usme Sing Up par click kar ke mangi gayi Details bharni hai.



  1.  Apna Mobile Nimber likhe.
  2. Email Address submit kare agar hai to.
  3. Koi acha sa Strong Password dale.
  4. Isme click kar ke Tick Mark kare.
  5. Ab sabse last me Create your Paytm Wallet ke button par click kar de.

3. New page open hoga aur apke Phone par ek OTP Password ka msg ayega usko is page me dalkar verify karna hai.


  1. Mobile me jo OTP password aya hai usko dale.
  2. Apna Name enter kare.
  3. Last Name matab apke nam ke piche jo lagta hai wo dale, jaise mere name me last me Kumar lagta hai
  4. Aap Male ya Female jo bhi, uspe tick mark karke salect kare.
  5. Sabhi process puri hone ke bad Create your Paytm Wallet ko click kar de.
4. Ab apka Paytm Account ban gaya hai. Aap chahe to aap apna balance dekh sakte hai Wallet me 0 balance show kar raha hoga, kiyu ki abhi apka new account hai. aap Add Money ke option par jakar Net Banking ya ATM Card se Wallet par Mony Transfer kar sakte hai.



Ab aap Sing out Par click karke aap apne account se bahar aa sakte hai. Jaisa mene apko pahle bataya tha kabhi aap apna password kisi ko na bataye warna koi bhi apka account use kar sakta hai.

Friend's Agar Aap ko mera yah articles aapako pasand aaya ho to jaroor share kare taki aur kisi ki bhi mhelp ho sake. friend's agar aap ko kuchh samajh me na aaya ho to comment kar jaroor puchhe. ya Mujhe Call +91 8932864666 kare.......... Thankyou!.........


PayTM Account Kaise Banaye PayTM Account Kaise Banaye Reviewed by Unknown on 03:49 Rating: 5
Powered by Blogger.