Download Site App

Desktop Me Wifi Connect Kar Ke Internet Kaise Chalaye

By:        ViPiN KUMAR 'BAADSHAH'       Comments



Hello Dosto Mera Name ViPiN KUMAR YADAV (BAADSHAH) hai. Mai aapakatargetblogspot.com  website ka iss website par meri ye pehli guest post hai. Is Post Me Aap Ko Me Bataunga Ki Wifi Connect Kar Ke Internet Kaise Chlaye.

Aaj kal har kisi na kisi ke pass Mostly ek computer ya laptop to hota hi hai or sabhi people internet ka use karte hai fir chahe vo android mobile ho ya pc or laptop ho. Aap sabhi peoples ne wifi ka name to suna hi hoga. Wifi ke jariye hum sabhi apne mobile ya laptop me internet ka use karte hai. But ye features pahle se hi computer (desktop) me nahi hota hai. Hum computer me internet ka use karne ke liye Data cable, net setter, dongal ka use karte hai.


Most Read:- SARKARI YOJANA KYA HAI-SARKARI YOJANA KI LIST 2017


aap only laptop me hi internet ka use karne ke liye mobile ka hotspot on kar sakte hai. computer me internet chlane ke liye aapko mobile se usb ko connect karna hota hai. but kabhi kabhi isame bahut sari problems aati hai. ye sari problems softwere ki vajah se aati hai. bahut sare mobiles usb se computer me internet se connect nahi hote.





But don’t worry aap apne android mobile me wifi hotspot ko on kar ke computer me wifi ke jariye aap internet use kar sakte hai. aagar aap sabhi computer me wifi ke jariye internet chlana chhate hai to aapko usb wifi adapter purchase karna hoga. wifi adapter ki value Rs.250-300 hai. aap ise online bhi purchase kar sakte hai. mai mediatech ka wifi adapter use karta hu. 

Desktop me wifi se internet Kaise Chlaye:-

Step 1.

  1. Usb wifi adapter ko purchase karte time aapko ek software diya jata hai. Software ko aapko computer me install karna hota hai.
  2. Aagar aapne adapter ko buy kar liya hai or software ko bhi install kar liya hai to aap apne mobile ka wifi hotspot on kare.
Most Read:- PC SOFTWARE KYA HAI-COMPUTER SOFTWARE DOWNLOAD KARNE KI 10 POPULAR WEBSITE

Step 2.

  1. Ab aapke computer me aapko internet ka icon milega uss par click kare.
  2. Search par click kare
  3. yahan aapko aapke mobile ke hotspot ka name dikhega uss par click karte hi aapka wifi connect ho jayga.
Is Ko Bhi Padhe:- COMPUTER ME WINRAR SE FOLDER ME PASSWORD KAISE LAGAYE ?






only aapko itana hi karna hai. jab aapka wifi connect ho jayga tab aap aapne computer me aasani se wifi ki madad se internet chala sakenge.
Agar dost aapko process me koi promlem aati hai to comments kejiye mai aapki help karunga.
Desktop Me Wifi Connect Kar Ke Internet Kaise Chalaye Desktop Me Wifi Connect Kar Ke Internet Kaise Chalaye Reviewed by Unknown on 15:13 Rating: 5
Powered by Blogger.